Friday 2 December 2016

Wazifa For Istikhara / Dua e Istikhara

Quranic And Islamic Wazaif Istikhara 
Meaning of istikhara
Hadees shareef main hey kay Allah say Istikhara karna olaad adam ki khushi hey aur Allah say Istikharah na karna is ki bad bakhti hey – aek rewayat main ya be aahya hey kay , NUQSAN NAI UTHATA WO SHAKS JO ISTIKHARAH KRTA HEY , aor pasheman nahi hota , jo koi mashwara kar leta hey aor baaz ahades say ya bi sabit hey kay من سعادۃ ابن آدم الرضاء بالقضاء Tarjama – Ibn e Adam ki shahadat mandi marzi elahi par razi hona hey ,
Hazrat jabir bin abdullah (rh) say rewayat hey wo farmatay hain kay RasoolUllah Sallal Lahu Alaihi wasalam hum ko tamaam kamoon main Istekarah ki tahleem is takeed say farmatay thay – jesa kay Quran ki surah ihtemam kay saath sekhlatay thay – farmatay kay jab kisi ko kisi kaam main fikar taraddad ho to 2 rakhat nafal parhay is kay bahd u kahay –
Aap RasoolUllah ( Sallal Laahu Alaihi Wasallam ) nay farmaya hey kay jis shks nay kisi kaam kiya Istekarah kiya aor is main Alalh tahala nay koi fesla kar diya ( Maslan , wo maqsood pora kar diya ya is say dil ko hata deya ya aesay asbaab bana deyaa jis say wo muhamla khud hi hat geya ) aor banda is feslay say raazi na ho to ya in kiliya jahiz nahi hey ( yahni bara gunah hey ) jis say toba karna aor baaz aana wajib hey .

استخارہ کے مسائل
How  to perform Istikharah 
Istekarah talab kheer hey , talab e khbar nahi , dua Istekarah kay alfaaz ko be Aynihi ada karna aor jis tarh hadees main warid hova hey isi tarh yaad karna caheya – mahna be yaad hoon to bohot acha hey – ta kay dil say Izteraar ki kafiyat kay saath ada ho ,Istekarah wajbaat ya makrohaat main say nhi ho sakta kiun k wajib ka baja lana zarori hey .
Aor makrohaat say bachna zarori hey . Pher Istekhary ka matlb kiya hey .Istekarah sirf mubahaat main kiya jata hey or mustajab main b kiya jaa sakta hey .jab k 2 mustajabaat main say aek ko karna caheya k in main say kon sa mery liya behtar hey.
Ahem baat mashoor hy k Istekhary main jis tarf dil maheel ho jahy osi ko karna caheya osi main kheer hoti hey
Yehi baat sahi hey Istekhary k bahd dil Allah ki tarf say kisi aek janeb mahel ho jata hy . So jis janeb dil ma’ael ho jahy osi janab osi kaam ko ikhteyaar karna caheya . Cahey wo aap k haq main ho ya nhi .
Ahem baat k Istekhary k bahd dil aek janab ma’ael ho ga k Istekhary say pehly dil ka is janib zeyada Melaan nhi tha
To bazahir ya Alamat is ki hey k isi janib Ikhteyaar krna caheya Magar ya wujoob or Lozoom ki Alamat nhi is liya is k khelaaf b ikhteyaar krna jahez hey kuch gunah ya zarar ka andesha nhi , Baz logoon ka kheyaal hey k Istekarah k bahd jis janib dil zeyada Mahel ho is kay Khelaaf karna Jahiz nahi ya is main zarar ho ga Ghlat hey – isi tarh jab tak dil kisi aek tarf mahel na ho Istekarah ko bekaar samjhtay hain , ya be sahi nahi hey .

 Ahem Baat –
Importance of Istikharah:
ka matlab ya hey kay jab wo jahez ya 2 mutahib kamoon main taradad ho kay in main say kis ko Ikhteyaar karoon to Istekarah kar kay jis shaq ko dil cahay Ikhteyaar kary is main zarar na ho ga – pher jis shiq ko Ikhteyaar kar liya is ko haq tahala ki tajweez samjh kr is say razi rahna caheya aor yaqeen rakhna caheya kay is main kheer zaroor ho ge go meri samjh main na ahi ho – Istekarah kay bahd jis rah ko Ikhteyaar kar liya geya is say nagowari aor narazi aor ya kheyaal kay mujy dosri rah ikhteyaar karna caheya thi isi main kheer hoti , ya baat bohot bori hey Jis par Hadees main waheed warid hovi hey .

استخارہ کا طریقہ
 Method of Istekarah :
( 1 ) bahd namaz e Esha 2 nafal ba neyat istekarah is tarh ada karay kay dono rakhat main bad surah fatiha surah yaseen aek baar telawat karay aor bahd az namaz faragat ism mubarak یا خبیر ( 200) baar parhay is k bahd Right hand , dahni hathili par ( یا حکیم یا مجید ) likh kar soo jahay Insa’Allah khwaab main hedayaat naseeb ho ge ,
( 2 ) rakhat namaz ba beyat Istekhara ada karay bad az namazبسم اللہ الرحمن الرحیم323 بار aor حسبنا اللہ ونعم الوکیل 327 martaba pahy aor soo rahay Geeb say mahlomaat hasil ho jahay ge Insa’Allah
( 3 ) bahd az namaz e Esha bawaqt kafeteen ayat mubarka قالو سبحنک لا علم لنا الا ما علمتنا انک انت العلیم الحکیم , 101 baar parh kar soo rahay teen shab tak yehi amal karay Insa’Allah hedayaat naseeb ho ge’e ,
( 4 ) 2 Rakhat na neyat istekhara ada karay bahd az namaz e Esha pher ya dua Koso wa Kozoh kay saath bargah e rab bul Alameen say karay ,

Dua e Istikhara Ya Hey ، دعائے استخارہ یہ ہے:
اللھم انی اسخیرک بعلمک واستقدرک بقدرتک واسئلک من فضلک العظیم فانک تقدر ولا اقدر وتعلم ولا اعلم وانت علام الغیوب اللھم انک تعلم ان ( ھذا الامر ) خیر لی فی دینی ومعاشی وعاقبۃ امری فقدرہ لی ویسرہ لی ثم بارک لی فیہ وان کنت تعلم ان ھذا الامر شر لی فی دینی ومعاشی وعاقبۃ امری فصرفہ عنی واسرفنی عنہ واقدرلی الخیر حیثکان ثم ارضنی بہ
jab aap ( ھذا الامر ) par pohncain to apnay kaam ka dehaan lagahain aor یا خبیر اخبرنی یا علیم علمنی ka wird kartay hovay dahain karwat par soo jahain jab soo kar uthain is waqt dil main jo baat mazboti say aahy is par amal karain .

استخارہ Istekarah:
wudu kar kay paak kapray pehnay aor Qibla roo dahni karwat par leet kar surah SHAMS 7 baar surah AL-LA”AEL 7 baar surah IKHLAAS 7 baar parh kar is kay bahd aajzi say kahay ay mery Allah mery khwaab wo cheez dekha dey aor is kaam kay sar anjaam honay ki tadbeer mery dil main daal day
Insa’Allah isi raat mahloom ho jahy ga warna 7wi raat tak insa’Allah zaroor mahloom ho jahay ga

استخارہ کی ترکیب Istekharh Ki Tarkeeb:
budh , Jumheraat , aor jumma ki shab بدھ جمعرات جمعہ ki shab ko barabar nama e esha kay sab kamoon say farig ho kar ( Bismillah hir Rahman NIR Raheem ) بسم اللہ الرحمن الرحیم 70 martaba parhain aor apnay muh aor seenay par dam karain aor khuda tahala say dua karain kay fulaan amar main jo kuch honay wala hey wo mujy khaab main ya Onodgi main kisi awaz denay walay ki awaz say mahloom kar dein is kay bahd ya dorood shareef ( 100 ) martaba parhain . اللھم صلی علی سیدنا محمد بعدد معلوم لک ۔ Insa’Allah 3 Ratoon main Maqsad pora ho jahay ga .

Different Wazaif For Istikhara:
استخارہ صحیحہ
Istikarah Saheha :
Bahd az namaz e Esha taza wudu kr kay paak bistar par bethay aor nabi kareem  ( Sallal Lahu Alihi Wasalm ) par dorood bejhay pher ( 10 ) baar surah fatiha ( 11 ) baar surah ikhlaas aor last main 3 baar dorood shareef parh kar dahni karwat Qibla ki tarf muh kar kay soo jahay – agr tahbeer samjh main na ahy to kisi need aor samjhDaar shaks say tahbeer mahloom kr ley

استخارہ
Istikarah :
Budh , Jumheraat aor Jummay ki raat ko 2 nafal namaz e Isha k baad ada karay is kay bahd ya kalimaat ( 333 ) teen Soo tantees martaba parhay – یا علیم علمنی ان کان من الاحوال  pher Qiblay ki tarf muh kar kay soo jahay kisi say baat na karay Allah tahala kay fazal wa karam say pehli raat maloom ho jahy ga , nahi to dosri had 3 din hain har haal main maloom ho jahy ga , Insa’Allah

عمل برائے استخارہ
Amal Barahy Istekarah:
Awwal 11 martaba dorood shareef parhay pher یا بدیع العجائب یا کاشف الغرآئب ( 1100 ) martaba parhay aor taat kay borya par soo jahay lakin is amal ko karnay say pahlay Gusal karay aor paak saaf kapray pehnay aor Kushbo lagahay Insa’Allah zaroor kamyaab ho ga .

عمل استخارہ
 Istikarah Mujarab:
Esha ki namaz kay bahd 2 rakhat Nafal parhain aor
( 100 ) baar یا علیم علمنی  ( 100 ) baar یا رشید ارشدنی ( 100 ) baar یا ھادی اھدنی  ( 100 ) baar یا خبیر اخبرنی Aor awwal wa akhir koi b dorood shareef ( 100 ) Soo baar parh kar soo jahain Insa’Allah khwaab main sab haal mahloom ho jahay ga

نماز استخارہ
Istekarah E  Namaz:
Nisf shab ko bedaar ho kar nafal parhay aor donoon rakAtoon main jo b surah ya ayat yaad ho parhay pakiza kapray pehnay aor kushbo lagahy Aor namaz say farig ho kar sar sajday main rakh kar darj zeel wazefa parhtay hovay soo rahay Insa’Allah khwaab main aek Buzorg Is Banday ki rehnmahi farmahain gain
یا رب دلنی علی عبد من عبادک المقربین حتی یدلنی علیک ویغرضنی صدق الوصول الیک

استخارہ کا مسنون طریقہ 
Istekarah ka Masnoon Tareqa:
Nabi paak ( Sallal Lahu Alihi Wasalm ) ka Irshaad hey kay jo shks Allah tahala say Istekarah karta hay wo khasara main nahi rahta HAZRAT jabir (rz) farmatay hain kay Hozoor sarwar e do Alim ( Sallal Lahu Alihi Wasalm ) hamain istekarah ki tahleem is tarh detay thay jis tarh QURAN ki tahleem deya kartay thay ,
Aap ( saw ) nay farmaya kay agr koi shks kisi kaam ka Irada karay to isy ( 2 ) Rkhat Nafal namaz parh kar ya dua parhni caheya
اللھم انی استخیرک بعلمک واستقدرک بقدرتک واسئلک من فضلک العظیم فانک تقدر ولا اقدر وتعلم ولا اعلم وانت علام الغیوب اللھم انک تعلم ان ( ھذا الامر  ) خیر لی فی دینی ومعاشی وعاقبۃ امری فقدرہ لی ویسرہ لی ثم بارک لی فیہ وان کنت تعلم ان ھذا الامر شر لی فی دینی ومعاشی وعاقبۃ امری فصرفہ عنی واصرفنی عنہ واقدرلی  الخیر حیث کان ثم ارضنی بہ
ya dua 2 Nafal kay bahd parhay or jahan par  ( ھذا الامر  ) ka lafz hey yahan apni jo b hajat ho maang ley pher paak saaf bistar par soo jahay Insa’Allah Allah jala majdoho os ka dil osi tarf pher dey ga jo kaam os kay haq mian behtar hova ,

استخارہ کا ایک اور مجرب عمل
Istekarah Ka Aek Or Mujarab Amal:
raat ko sotay waqt 6 rakhat namaz e istekarah parhay is ki tarkeeb ya hey kay pehli rakhat main surah fatiha kay bahd
 ( سورۃ الشمس )  surah SHAMS 7 baar parhay dosri rakhat main Surah fatiha kay bahd سورۃ الیل ) ) surah AL-LA’AEL 7 martaba Tesri rakhat main  سورۃ الضحی ) )  surah DUHA 7 baar chothi main ( سورہ النشرح )  Surah ALM-NASHRAH 7 baar panchwi main  سورۃ التین ) ) Surah TEEN 7 baar aor akhri main ( سورۃ القدر ) Surah AL-QADAR
namaz say farig ho kar Haq tahala ki tamheed wa Taqdees kay bahd ya dua parhay aor akhar main dorood shareef parh kar soo jahay ,
اللھم رب ابراھیم ورب موسی ورب یعقوب ورب اسحق ورب جبرائیل ورب میکائیل واسرافیل وعزرائیل علیھم السلام ومنزل التوراۃ والانجیل والزبور والقران العظیم ارنی فی منامی اللیلۃ ما انت اعلم بہ منی
Agr pehli raat jawaab na milay to dosray tesray din 7 din tak ya Amal kay Insa’Allah ho he nahi sakta k os ko jawaab na milay.

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.