Sunday 17 January 2016

Dua Kab Aur Kis ki Qabool Hoti Hai +91-96102-82222

Dua Kab Aur Kis ki QABOOL Hoti Hai
DUA key AADAB : ie dua maangney ka tareeka : 
Dua key shuroo mein:
-Allah ki hamd , any tasbeeh
-Darood,
-Surah Fatiha
– ism e Azam ( ya hayyo ya qayyum) يا الحي يا القيوم
– Surah Baqarah ki last do ayat
Hadees sey sabit hey keh in sey dua key leay aasmaan key darwazey khool deay jatey hei
Dua ko Aa’jazi عاجزي sey karein
Yaad rakhein takabbar aur ghumand sey mangi hoey dua Allah ko pasand nahin
Saadigi sey karein
Dua key words complicated nahin simple aur straight hoon
Seedhi saadi clear cut baat
samaj kar karein
” غافل dil ki dua qabool nahin hooti”
Dua maang kar jald bazi na karein
” jald bazi sey ki hoey dua qabool nahin hoti”
Qurani aur Masnoon duaein karney
Yeh duaein nabiyoon ney kein , in ka sawaab bhi ho ga aur qabool bhi hoon gi
Roo kar karein
Allah ko ghirghiraa kar ki hoey dua pasand hey ، خشوع اور خضوع sey ki hoey dua bhi qabool hoti hey
Yaqeen aur tawakkal sey karein
Allah ki siffat aur qudrat yaad rakhein yoh sab kuch kar sakta hey
Naumeedi aur mauosi kuffar hey
Allah ko us key siffati naamoon ( اسماء الحسنا ) sey pukaar kar dua karney ki takeed Allah ney ki hey
” لله السماء الحسنا فادعوه بها ”
Allah key acha naam hein us ko un key saath pukaroo
Eg rizq mangna hey tou Raziq keh kar
Aulaad mangni hey tou Khaliq keh kar
Dua ley leay haath outhana sunnat sey sabit hey
NAMAZ key saath dua ki qaboliyat hey is leay
– aazaan key baad
– aazan aur aaqamat key darmiyaan
– sajdey mein
– namaz key faraiz key baad
– namaz key baad
– friday ko Asr key baad
– tahajjud key waqt
ROZA aur ramzaan bhi dua ki qaboliyat ka tohfa lata hey
– sehri ki تياري aur khatey waqt
– sar din rozay ki halat mein
– khaas iftari key waqt
– qiyam ul lail key waqt
– eid ki namaz key waqt
SADQA aur ZAKAT deeytey waqt bhi duaein mangey yeh kaboliyat ka waqt hey
HAJJ key sarey marhaloon mein dauein qabool hooti hein
ahraam ki halat mein
– tawaaff mein
– سعي mein
– arafaat mein khaas kar وقوف عرفات mein
– muzdalfah ki raat mein
– minnah mein
JIHAD , agar jaan , maal , zaban aur qalam sey jihad karein gey tou yeh bhi duaoon ki qaboliyat ki zariyyah ho ga
Hijrat illALLAH , agar temporary ho ya permenent yeh bhi dua ko qabool karwati hey
Bemari ho tou bhi kasraat sey apney aur doosroon key leay dua karein yeh dua ki qaboliyat ki halat hey 
Kisi bemaar ki ayadat ko jaein tou us key leay dua karein bhi aur us ko dua ki request karein bhi
Delivery key waqt, labour pains ki takleef mein bhi duaein qabool hooti hein
WALIDEIN ki duaein un ki khidmat kar key hasi karein un key leay aasmaan key darwazey khul jatey hein 
Maan ki khidmat karnet waley Hazarat Haarisa bin Naumaann ki aawaaz Aap SAW ney 7th aasmaan par sunni
Apni aulaad key leay bhi kasrat sey mangey , woh dua zaroor qabool ho gi , yaad rakhein maan ki dua ney aik قصاءي ko Hazarat Musa AS ka jannat mein hamsaya bana diya !
AULAAD bhi kasrat sey walidein key leay dua go rahein yeh bhi qabool hoon gi
USTAAD aur STUDENTS bhi aik doosrey key leay duaein larein tou qabool hoon gi
Naik logoon ki duaein bhi qabool hooti hein , kisi zinda naik aadami ko dua ki darkhawast kar saktey hein
SAFAR ( travel) ki halat bhi dua ki qaboliyat ka waqt hey . Apney safar mein bhi karein aur safar par janey waley ko bhi request karein
DOOSROON key haq mein ki hoey dua us ki nisbat ziyada qabool hooti hey jo apney leay ho . Jo kisi momin bhai keybleay dua karta hey aik farishta Allah key hukam sey us key leay dua karta hey . Is leay tamama momineen aur mominaat ko duaoon mein yaad rakhein
MAZLOOM ;
” ظلم sey bachoo كيونكه mazloom ki dua عرش الهي tak pohanchati hey ”
“ربنا تقبل منا انك انت سميع العليم ”
Rabb hameri duaein qabool farma tou duaoon ka sunney aur jananein wala hey 
Aameen

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.